Aadi kaal se jo hai aaya
shoonya sthaan mein vo hai samayaa
anant nabh pe jo hai chhaya
anahad naad jisne sunaya
Jal vayu dharti agni
aakash anant har raag rang
Damaru naad se srishti banayi
racha divya aur bhavya prasang
Ghunghro kaa shor, Damaru kaa zor
nas nas mein ab raha goonj goonj
is divya naad par, brahma taal par
tandav nritya kare vo ghor
Yahan vahan jahan tahan, nahi kahan, Mahadev
jhoom jhoom magan bhaye, Mahadev
sthir vo achal Yogi, Dhyani, Gyani, Mahadev
Yogi Shiv Mahadev
Poorna anant naa adi na ant
jo paap punya se pare rahe
jo soch ki hadon tak phaila
aur soch se pare bhi rahe
Sanyasi tapasvi bairagi
bhogi vo grihasth sansari
jhoom jhoom ke nritya rachaya
agale hi pal nishchal saya
Adiyogi ne rah batayi
yog gyan ki bhent chadhayi
yog panth ki neenv rakhi aur
yog kraanti ki aas jagayi
Yahan vahan jahan tahan, nahi kahan, Mahadev
Jhoom jhoom magan bhaye, Mahadev
sthir vo achal Yogi, Dhyani, Gyani, Mahadev
Yogi Shiv Mahadev
Yogi Shiv Mahadev
Sounds Of Isha
కామెంట్లు లేవు:
కామెంట్ను పోస్ట్ చేయండి